समंदर और साहिल Samandar aur Sahil | Poem | Hindi
काश की हमने समंदर से यूँ किनारा न किया होता,
और बढ़ाई न होती साहिलों से दोस्ती अपनी,
फिर आज हममें भी लहरों की रवानी होती।
पर करते भी क्या जब मौजों को ये मुनासिब न था?
सितम करते हैं वो कभी बिना सितम किये भी…
और फिर मेरी कश्ती पे भी लहरों का भरोसा कभी था नहीं!
गर्म रेत पे खड़े होके
समंदर के किनारे
देखता हूँ मैं अब टकटकी लगाये
की मिली भी तो कितनी ठंडक दरिया को
मुझे किनारे के हवाले करके…
For those who can’t read Hindi or Hindi Fonts:
Kash ki hamne samandar se yun kinara na kiya hota,
aur badhai na hoti sahilon se dosti apni,
fir aj hamme bhi leharon ki ravani hoti.
Par karte bhi kya jab maujon ko ye munasib na tha?
Sitam karte hain wo kabhi bina sitam kiye bhi…
aur fir meri kashti pe bhi lehron ka bharosa kabhi tha nahi!
Garm ret pe khade hoke
samandar ke kinare
dekhta hun ab mai taktaki lagaye
ki mili bhi to kitni thandak dariya ko
mujhe kinare ke hawale karke…